Koi misl-e-Mustafa ka kabhi tha na hai na hoga Kisi aur ka yeh rutba kabhi tha na hai na hoga
Unhein khalq karke naazan hua khud hi dast-e-qudrat Koi shahkaar aisa kabhi tha na hai na hoga
Kisi wahm ne sada di koi aap ka mumasil Toh yaqeen pukaar utha kabhi tha na hai na hoga
Mere taaq-e-jaan mein nisbat ke chiragh jal rahe hain Mujhe khauf-e-teergi ka kabhi tha na hai na hoga
Mere daaman-e-talab ko hai unhi ke dar se nisbat Kisi aur se rishta kabhi tha na hai na hoga
Main hoon waqf-e-naat goi, kisi aur ka qaseeda Meri shayari ka hissa kabhi tha na hai na hoga
Sar-e-hashr unki rahmat ka Sabeeh main hoon talib Mujhe kuch amal ka daawa kabhi tha na hai na hoga





