Apne darbar mein aane ki ijazat di hai Ik gunahgar ko Aqa ne yeh izzat di hai
Aap ka zikr kabhi kam nahin ho ga Aqa Aap ke zikr ko Allah ne rifat di hai
Aap ka naam toh har gham ki dawa hai Aqa Aap ke naam ne har ranj mein rahat di hai
Meri palkon pe charaghon ne farozan ho kar Ik nayi naat ke hone ki basharat di hai
Talkh lehjon ko jo shaista bana deti hai Aap ne aa ke woh taleem-e-mohabbat di hai
Mojaza un ki sadaqat ka hua yun roshan Dast-e-bu-jahl mein kankar ne shahadat di hai
Mujh se be-naam-o-nishan ko mere Aqa ne Sabih Bakhsh kar zauq-e-sana izzat-o-shohrat di hai





