Khoya khoya hai dil, hont chup, aankh nam, hain muwajah pe hum Rubaru un ke laya hai un ka karam, hain muwajah pe hum
Lamhe lamhe pe ayaat ka noor hai, naat ka noor hai Noor afshan, duroodi fazayen dam-ba-dam, hain muwajah pe hum
Ek kone mein hain, sar jhukaye huye, munh chupaye huye Gardanein hain ke baar-e-nadamat se kham, hain muwajah pe hum
Aansuon ki zaban, kar rahi hai bayan, un se ahwal-e-jaan Sirf apna nahi poori ummat ka gham, hain muwajah pe hum
Muskurati hui har tajalli mili, kya tasalli mili Door hote gaye saare ranj-o-alam, hain muwajah pe hum
Sab talab-gar harf-e-shafa'at ke hain, un ki rehmat ke hain Chehre chehre pe ik sawal-e-karam, hain muwajah pe hum





