Huzoor aisa koi intezaam ho jaaye Salaam ke liye haazir ghulaam ho jaaye
Main sirf dekh loon ek baar subah-e-Taibah ko Bala se phir meri duniya mein shaam ho jaaye
Tajalliyaat se bhar loon main apna kaasa-e-jaan Kabhi jo un ki gali mein qiyaam ho jaaye
Huzoor aap jo sun lein toh baat ban jaaye Huzoor aap jo keh dein toh kaam ho jaaye
Huzoor aap jo chaahein toh kuch nahi mushkil Simat ke faasla yeh chand gaam ho jaaye
Mile mujhe bhi zabaan-e-Busiri-o-Jami Mera kalaam bhi maqbool-e-aam ho jaaye
Maza toh jab hai farishte yeh mein keh dein Sabih madhat-e-Khair-ul-Anaam ho jaaye





