We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Lab Pe Naat E Pak Ka NaghmaNot Verified

Sabeeh Rehmani

Lab par naat-e-pak ka naghma kal bhi tha aur aaj bhi hai Mere Nabi se mera rishta kal bhi tha aur aaj bhi hai


Aur kisi janib kyun jayen aur kisi ko kyun dekhein Apna ab kuch Gumbad-e-Khizra kal bhi tha aur aaj bhi hai


Past woh kaise ho sakta hai jis ko Haq ne buland kiya Dono jahan mein un ka charcha kal bhi tha aur aaj bhi hai



No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play


Jis ke faiz se banjar seenon ne shadabi payi hai Mauj mein woh rehmat ka dariya kal bhi tha aur aaj bhi hai


Fikr nahin hai hum ko kuch bhi gham ki dhoop kari to kya Hum par un ke fazl ka saya kal bhi tha aur aaj bhi hai


Batla do gustakh-e-Nabi ﷺ ko ghairat-e-Muslim zinda hai Un par mar mitne ka jazba kal bhi tha aur aaj bhi hai


Jin aankhon se Taiba dekha woh aankhein betab hain phir Un aankhon mein ek taqaza kal bhi tha aur aaj bhi hai


Sab ho aaye un ke dar se ja na saka to ek Sabih Yeh aajiz tasveer-e-tamanna kal bhi tha aur aaj bhi hai

Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah