Mita dil se gham-e-zaad-e-safar aahista aahista Tasawwur mein chala Taiba nagar aahista aahista
Zabaan ko taab-e-gooyaai nahi rehti Madine mein Sada deti hai lekin chashm-e-tar aahista aahista
Utaari raah ki basti mein jalwon ki dhanak usne Shikast-e-shab pe ho jaise sahar aahista aahista
Jagaye ilm ke suraj sikhayi lafz ki hurmat Kiye wa aagahi ke saare dar aahista aahista
Mohabbat ka saleeqa de diya wehshi qabail ko Mita sadiyon ki ranjish ka asar, aahista aahista
Sabeeh un ki aur to ke jaise barf ki kashti Kare suraj ki janib tay-e-safar, aahista aahista





