Teri chaukhat pe jo sar apna jhuka jaate hain Har bulandi ko wahi neecha dikha jaate hain
Sarfarazi-e-ajal un ko mila karti hai Nakhwat-e-sar jo tere dar pe mita jaate hain
Doobe rehte hain teri yaad mein jo shaam-o-sehar Doobton ko wahi saahil se laga jaate hain
Ae Maseeha tere beemar hain aise beemar Jahan bhar ka dukh dard mita jaate hain
Marne wale rukh-e-zaiba pe tere jaan-e-jahan Aish-e-javeed ke asraar bata jaate hain
Aasmaan tujh se uthaye na uthenge sun le Hijr ke sadme jo ush-shaq utha jaate hain
Zikr-e-Sarkar bhi kya aag hai jis se Sunni Baithe baithe dil-e-Najdi ko jala jaate hain
Jin ko sheereeni-e-Milad se ghin aati hai Aankh ke andhe unhein kauwa khila jaate hain
Dasht-e-Tayyab mein nahi keel ka khatka Akhtarؔ Naazuk andaam wahan barahna pa jaate hain





