Tere hote janam liya hota Phir kabhi to tujhe mila hota
Kaash main sang-e-dar tera hota Tere qadmon ko choomta hota
Tu chala karta meri palkon par Kaash main tera raasta hota
Zarra hota jo teri raahon ka Tere talwon ko chhoo liya hota
Ladta phirta main tere a'da se Teri khatir main mar gaya hota
Tere maskan ke gird shaam-o-sahar Ban ke mangta main phir raha hota
Tu kabhi to mujhe bhi tak leta Tere takne pe bik gaya hota
Tu kabhi to meri khabar leta Tere kooche mein gir gaya hota
Tu jo aata mere janaze par Tere hote main mar gaya hota
Chhod kar jannatein palat aata Tu meri qabr par khada hota
Hota Tahir tere faqiron mein Teri dehleez par khada hota





