Tere aashiqon ka hai aashiq zamana Faqiron ke andaaz bhi khusrawana
Shaha, meri aankhon mein aansoo nahin hain Yeh kisht-e-judai ka hai aabyana
Zabaan par hain teri mohabbat ke daawe Magar apne kirdar hain baghiyana
Tere raaston mein fana hone wale Ibadat bhi karne lage tajirana
Jo karte hain dunya ki mansooba bandi Woh hain apni hi saazishon ka nishana
Woh khaif hain baatil ki chingariyon se Banate the jo barq par aashiyana
Badan ek chehre hain do do hamare Sukhan nasiihana amal ghasibana
Nikalna hai Aqa hamain sab se aage Hamain kijiye su-e-maazi rawana





