Taaj-e-Anjum nikhat-e-gul Aap ﷺ hain Husn ka sarmaya-e-gul Aap ﷺ hain
Aap ﷺ ke hathon mein hain donon siray Har zamanay ka tasalsul Aap ﷺ hain
Aap ﷺ ke faaqay mera ni'amat kadah Mera taqwa aur tawakkul Aap ﷺ hain
Khatm kar dijiye meri be-chainiyan Waris-e-sabr-o-taham'mul Aap ﷺ hain
Aap ﷺ hi ka qurb hai qurb-e-Khuda Main irada hoon tawassul Aap ﷺ hain
Meri har ek soch par chha jaiye Jaan-e-idraak-o-takhayyul Aap ﷺ hain





