Taaron ki anjuman mein yeh baat ho rahi hai Markaz tajalliyon ka khaak-e-dar-e-Nabi hai
Zarray yeh keh rahe hain, us noor ke qadam se Yeh aab-o-taab le kar hum ne jahan ko di hai
Yakta hain jis tarah woh hai un ka gham bhi yakta Khush hoon ke mujh ko daulat anmol mil gayi hai
Phir kyun kahoon pareshan ho kar ba-qol-e-shakhsay Yakta ke gham mein ab bhi be-kaif zindagi hai





