Sunnat ki bahaar aayi Faizan-e-Madinah mein Rahmat ki ghata chhayi Faizan-e-Madinah mein
Is shehar ke aaye hain bahar se bhi aaye hain Sarkar ke shedayi Faizan-e-Madinah mein
Daarhi hai imamay hain zulfon ki bahaarein hain Shaitan ko sharam aayi Faizan-e-Madinah mein
Lamhat-e-musarrat hain deewanay baray khush hain Kyun jhoomey na har bhai Faizan-e-Madinah mein
Sunnat ki bahaaron ka kuch aisa samaan chhaya Fashion ko haya aayi Faizan-e-Madinah mein
Ulfat ke ukhuwwat ke kya khoob manazir hain Goya hain sagay bhai Faizan-e-Madinah mein
Woh log hi aatay hain aur faiz uthatay hain Taqdeer jinhein layi Faizan-e-Madinah mein
Apnay hon ya beganay yun miltay hain deewanay Jaisay ho shanasayi Faizan-e-Madinah mein
Dard apnay dilon mein jo Islam ka rakhtay hain Hai un ki pazeerayi Faizan-e-Madinah mein
Allah karam kar de tu bakhash de un sab ko Maujood hain jo bhai Faizan-e-Madinah mein
Sunnat ka liye jazba aaye jo yahan us ki Hai hosla afzayi Faizan-e-Madinah mein
Iblees-e-la'een sun le ab khair nahi teri Shamat teri hai aayi Faizan-e-Madinah mein
Faizan-e-Madinah mein Faizan-e-Madinah hai Faizan hai aaqayi Faizan-e-Madinah mein
Faizan-e-Madinah hi hai Dawat-e-Islami Faizan hai moulayi Faizan-e-Madinah mein
Maqbool jahan bhar mein ho Dawat-e-Islami Har lab pe dua aayi Faizan-e-Madinah mein
Aaqa ho karam sab par bulwao Madinay mein Aaye hain tamannayi Faizan-e-Madinah mein
Sarkar ata kar do gham sab ko Madinay ka Jitnay hain yahan bhai Faizan-e-Madinah mein
Qismat ka sikandar hai zoron pe muqaddar hai Jis ne bhi jagah payi Faizan-e-Madinah mein
Aaj aaqa ke deewanay kya mast hain mastanay Attar hai Eid aayi Faizan-e-Madinah mein





