Soya hua naseeb jaga dijiye Huzoor Meetha Madinah mujh ko dikha dijiye Huzoor
Ab chal Madinah ka mujhe muzdah sunaiye Rotay huay ko ab to hansa dijiye Huzoor
Phir sabz gumbad aur woh minaar ki bahaar Ghaus-o-Raza ka sadqa dikha dijiye Huzoor
Miskeen hoon, ghareeb hoon pallay nahi hai kuch Kharcha safar ka dijiye na dijiye Huzoor
Arafat aur Muzdalifah aur Mina chaloon Hajj kar loon Haq se izn dila dijiye Huzoor
Khulafa-e-Rashideen ke sadqay mein Ya Nabi Khwabon mein apna jalwa dikha dijiye Huzoor
Saail gham-e-Madinah ka hoon Shah-e-Bahrobar Mujh ko gham-e-Madinah shaha dijiye Huzoor
Ahmed Raza ka wasta ulfat ka saqiya Mujh ko chalakta jaam pila dijiye Huzoor
Har waqt soz-e-ishq mein tarpa karoon shaha Aag aisi meray dil mein laga dijiye Huzoor
Zahra ke laadlon ka waseela main laya hoon Pazmurdah dil ko meray khila dijiye Huzoor
Sadqa Shaheed-e-Karbala ka Shah-e-Ambiya Deewana-e-Madinah bana dijiye Huzoor
Ya Mustafa! Main ulfat-e-dunya mein phans gaya Is qaid se khudara chura dijiye Huzoor
Pur-khar wadiyon mein bhatak ke main reh gaya Bhooley huay ko raah dikha dijiye Huzoor
Tauba nibah mein nahi pata hoon Ya Nabi Ab istiqamat aap shaha dijiye Huzoor
Dar lag raha hai aah! Jahannam ki aag se Bakhshish ka mujh ko muzdah suna dijiye Huzoor
Qufl-e-Madinah dijiye Murshid ka wasta Khamosh rehna mujh ko sikha dijiye Huzoor
Attar-e-bad-khisaal ka isyaan shiaar ka Dil murdah ho chuka hai jila dijiye Huzoor





