Shuja'at naaz karti hai jalalat naaz karti hai Woh Sultan-e-Zamaan hain un pe shaukat naaz karti hai
Sadaqat naaz karti hai amaanat naaz karti hai Hamiyat naaz karti hai maruwwat naaz karti hai
Shah-e-khoobaan pe har khoobi-o-khaslat naaz karti hai Kareem aise hain woh un par karamat naaz karti hai
Jahan-e-husn mein bhi kuch nirali shaan hai un ki Nabi ke gul pe gulzaaron ki zeenat naaz karti hai
Shehenshah-e-shaheedaan ho, anokhi shaan wale ho Hussain ibn-e-Ali tum par shahadat naaz karti hai
Bitha kar shana-e-aqdas pe kardi shaan dobala Nabi ke laadlon par har fazeelat naaz karti hai
Jabeen-e-naaz un ki jalwa-gah-e-husn hai kis ki Rukh-e-zaiba pe Hazrat ki malahat naaz karti hai
Nigah-e-naaz se naqsha badal dete hain aalam ka Ada-e-sarwar-e-khoobaan pe nudrat naaz karti hai
Fida'i hoon toh kis ka hoon koi dekhe meri qismat Qadam par jis haseen ki jaan-e-tal'at naaz karti hai
Khuda ke fazl se Akhtar main un ka naam lewa hoon Main hoon qismat pe naaza mujh pe qismat naaz karti hai
Bagh-e-tasleem-o-raza mein gul khilate hain Hussain Ya'ni hangam-e-museebat muskuraate hain Hussain
Barq-e-aalam soz ka aalam dikhate hain Hussain Muskura kar qila-e-baatil ka girate hain Hussain
Marzi-e-Maula ki khatir har sitam ko seh liya Kis khushi se baar-e-gham dil par uthate hain Hussain





