Shor-e-mah-e-nau sun kar tujh tak main dawaan aaya Saqi main tere sadqe may de Ramzan aaya
Us gul ke siwa har phool bagosh-e-giran aaya Dekhe hi gayi ae bulbul jab waqt-e-fughan aaya
Jab bam-e-tajalli par woh nayyar-e-jaan aaya Sar tha jo gira jhuk kar dil tha jo tapan aaya
Jannat ko haram samjha aate to yahan aaya Ab tak ke har ik ka munh kehta hoon kahan aaya
Taibah ke siwa sab baagh paamal-e-fana honge Dekho ge chaman walo! jab ahd-e-khizan aaya
Sar aur woh sang-e-dar aankh aur woh bazm-e-noor Zalim ko watan ka dhyan aaya to kahan aaya
Kuch naat ke tabqe ka aalam hi nirala hai Sakta mein padi hai aql chakkar mein guman aaya
Jalti thi zameen kaisi thi dhoop kadi kaisi Lo woh qad-e-be-sayah ab sayah-kunan aaya
Taibah se hum aate hain kahiye to jinan walo Kya dekh ke jeeta hai jo waan se yahan aaya
Le tauq-e-alam se ab azaad ho ae qumri Chitthi liye bakhshish ki woh sarv-e-rawan aaya
Namah se Raza ke ab mit jao bure kaamo Dekho mere palla par woh achhe miyan aaya
Badkar Raza khush ho badkaam bhale honge Woh achhe miyan pyara achhon ka miyan aaya





