Sharaf mujh ko har saal Hajj ka Khuda de Madinah bhi har baar Maula dikha de
Tu Makkah dikha de, Madinah dikha de Mere dil mein Makkah Madinah basa de
Sharaf-e-deed-e-Kaaba ka de de Ilahi Mujhe sabz gumbad ka jalwa dikha de
Mina ke dil-awez o dilkash nazaare Isi saal mujh ko Khudaya dikha de
Main ehram-e-Hajj baandh kar aaun Arafat Sa'adat Khuda yeh baraye Raza de
Ilahi! tujhe wasta Fatimah ka Muhammad ﷺ ke qadmon mein mujh ko qaza de
Ali Fatimah ka, Husain o Hasan ka Waseela Baqi-e-Mubarak mein ja de
Jo hijr-e-Madinah mein rote hain ya Rabb Unhein bhi karam se Madinah dikha de
Tere khauf se tere pyaare ke gham mein Jo aansoo bahaye woh aankh ae Khuda de
Tujhe wasta chaar yaaron ka ya Rabb Dikha khwab mein jalwa-e-Mustafa de
Ibadat mein lag jaaye dil ya Ilahi Mere dil se ghaflat ka parda hata de
Khuda! nafs ne hai tabahi machayi Meri sab buri khwahishon ko mita de
Siyah hai mera saara a'maal-nama Ilahi! siyahi tu is ki mita de
Mujhe naz' o qabr o qayamat mein Maula Tu amn o amaan de tu apni Raza de
Tu noor-e-Muhammad ﷺ ke sadqe mein ya Rabb Karam kar meri qabr ko jagmaga de
Meri maghfirat kar baraye Sahaba Jagah khuld mein az paye Awliya de
Azab-e-Jahannam se khauf aa raha hai Mujhe bakhash, kar dargozer har khata de
Tujhe wasta Shah-e-Karb-o-Bala ka Tu kar door Allah! ranj o bala de
Tu jismani bimariyan door farma De roohani amraaz se bhi shifa de
Mubarak ho phir mah-e-Milad aaya Ae bhai! tu ghar aur galiyan saja de
Khuda! de woh Attar ko soz-e-ulfat Madine ke gham mein jo is ko rula de





