Sharaf hasil hai deedar-e-Shah-e-Lau-laak karne ka Saliqa mujh ko aata hai garebaan chaak karne ka
Jab un ka naam lo dil ruk sa jaaye ashk beh niklein Yehi nuskha hai un ke qurb ke idraak karne ka
Khuda ke ghar mein ho aao Nabi ke dar pe ro aao Agar jazba hai khud ko maasiyat se paak karne ka
Zameen par aap ki laane mein mansha-e-Ilahi tha Zameen se kam bohat kam, rutba-e-aflaak karne ka
Sana Sarkar ki Sarkar ka mukhtar-nama hai Khuda se khuld mein bayana imlaak karne ka
Amal, chhoti si ik sunnat pe kar ke jang jeeti thi Ajab radd-e-amal tha ik zara miswaak karne ka
Shah-e-Konain, bhar dena lahad ko noor se apne Ho lamha jab Muzaffar ko sapurd-e-khaak karne ka





