Sharaf de hajj ka mujhe mere Kibriya ya Rab Rawana su-e-Madinah ho qafilah ya Rab
Dikha de ek jhalak sabz sabz gumbad ki Bas un ke jalwon mein aa jaye phir qaza ya Rab
Madine jayen phir ayen dobara phir jayen Isi mein umar guzar jaye ya Khuda ya Rab
Mira ho gumbad-e-khazra ki thandi chhaon mein Rasool-e-Pak ke qadmon mein khatimah ya Rab
Ba-waqt-e-naz’a salamat rahe mira iman Mujhe naseeb ho taubah hai iltija ya Rab
Jo ’’deen ka kaam‘‘ karen dil laga ke ya Allah Unhein ho khwab mein deedar-e-Mustafa ya Rab
Teri mohabbat utar jaye meri nas nas mein Pae Raza ho ata ishq-e-Mustafa ya Rab
Zamane bhar mein macha denge dhoom sunnat ki Agar karam ne tere sath de diya ya Rab
Namaz o roza o hajj o zakat ki taufiq Ata ho ummat-e-mehboob ko sada ya Rab
Jawab-e-qabr mein Munkar-Nakir ko doon ga Tere karam se agar hausala mila ya Rab
Baroz-e-hashr chhalakta sa jaam-e-Kauthar ka Ba-dast-e-Saqi-e-Kauthar hamein pila ya Rab
Baqee-e-Pak mein Attar dafn ho jaye Baraye Ghaus o Raza az pae Ziya ya Rab





