We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Shah Tum Ne Madina Apnaya

Muhammad Ilyas Atar Qadri

Shah tum ne Madinah apnaya, wah! kya baat hai Madinah ki Apna roza isi mein banwaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Mujrimon ko bhi Tayyabah bulwaya, wah! kya baat hai Madinah ki Rasta maghfirat ka dikhlaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Har taraf rehmaton ka hai saya, wah! kya baat hai Madinah ki Khoob rutba azeem hai paya, wah! kya baat hai Madinah ki


Koi deewana jab Madinah mein, aaya dil us ka jhooma seene mein Lab pe be-sakhta hai yeh aaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Allah Allah Gumbad-e-Khazra, aur mehrab-o-mimbar-e-Aqa Husn mein chand un se sharmaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Khoob dunya ke hain haseen baghaat aur phoolon ke husn ki kya baat Dil ko par dasht-e-Tayyabah hi bhaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Bagh-e-Tayyabah ka husn kya kehna, jamah-e-noor jaise ho pehna Husn sara yahin simat aaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Khoob soorat wahan ke sab kohsar aur hain dhool ke haseen anbar Wadiyon par bhi noor ka saya, wah! kya baat hai Madinah ki


Husn-e-Paris pe marne wale kya! dasht-e-Tayyabah ka husn bhi dekha? Bol uthay ga Madinah gar aaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Jis ne husn-e-aqeedat apnayi, us ne amraaz se shifa payi Ja ke jo khaak-e-Tayyabah mal aaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Jo museebat ka aa gaya maara, door gham us ka ho gaya sara Khil utha jo ke dil tha murjhaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Jo sawali Madinah aaya hai, jholiyan bhar ke apni laya hai Koi khaali na laut kar aaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Mere Aqa Madinah jab aaye, bachiyon ne taranay thay gaaye Char su khoob kaif tha chaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Qalb-e-ashiq ne kaif paya hai, rooh ko bhi suroor aaya hai Lab pe naam-e-Madinah jab aaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Shauq-e-Tayyabah mein dil sulagta hai, hum ko achha Madinah lagta hai Yaad-e-Tayyabah hamara sarmaya, wah! kya baat hai Madinah ki



No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play


Zair-e-roza ko shafa'at ki, ya Nabi aap ne bisharat di Ba-muqaddar hai dar pe jo aaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Kab talak dar-ba-dar phiray Aqa! apne kooche mein maut de Aqa! Yeh gada dar pe arz hai laya! wah! kya baat hai Madinah ki


Khud ko jo ishq mein rulata hai, lajaram woh sukoon pata hai Us ke ashk akhirat ka sarmaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Har taraf bheeni bheeni hai khushbu, soz hi soz har jagah har su Farsh ta arsh noor hai chaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Bas Madinah Madinah wird-e-lab, kaash! aksar rahay meray ya Rabb Dil ko naam-e-Madinah hai bhaya, wah! kya baat hai Madinah ki


Apne Attar ko Shah-e-Alam, de do apni mohabbat apna gham Koi dunya ka do na sarmaya, wah! kya baat hai Madinah ki

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah