Shah-e-Wala mujhe Taibah bulalo Taibah bulalo mujhe Taibah bulalo
Deorhi ka apni kuta banalo Qadmon se apne mujhko lagalo
Sadqay mein sadqay mein sadqay bulalo Furqat ke maaray ko piyaray jalalo
Piyaray jalalo mujhe piyaray jalalo Moula jalalo mujhe Aaqa jalalo
Duniya ke jhagron se yaksar chura kar Ghairon ki ulfat ko dil se mita kar
Shah-e-Wala mujhe apna banalo Apna banalo mujhe apna banalo
Nekon ke sadqay mein hum se badon ko Zaar-o-nazaar-o-museebat zadon ko
Moula nibhalo meray Moula nibhalo Haan haan nibhalo meray Moula nibhalo
Hotay ho tum kyun mayoos-o-muztar Kis wastay ho hairan-o-shashdar
Dukh dard walo suno dukh dard walo Taibah se har ek apni dawa lo
Dar-ush-shifaye Taibah mein aao Jo mango foran munh mangi paao
Andoh-o-gham sab apne mitalo Ranj-o-alam sab dil se nikalo
Aankhon mein aao dil mein samao Parda uthao jalwa dikhao
Hasrat zada ki piyaray dua lo Hasrat nikalo meri hasrat nikalo
Baad-e-mukhalif tez aa rahi hai Kashti hamari chakra rahi hai
Manjh-dhaar mein hai Moula bachalo Piyaray bachalo mujhe Shaha bachalo
Dolat hai naiya mori bhanwar mein Moula tarao ekay najar mein
Mori khabriya moray piya lo Mo ko bachalo piya mo ko bachalo
Taib hoon Najdi aib hoon Najdi Aur yeh na ho to khaib hoon Najdi
Ghaib hoon Najdi Moula nikalo Jaldi nikalo unhein jaldi nikalo
Yeh Noori muztar tera sanagar Aur is ka ghar bhar ho hazir-e-dar
Apne gadagar ko dar par bulalo Amn-o-aman se hamein Sarwar bulalo





