Kaun kehta hai aankhein chura kar chale Kab kisi se nigahein bacha kar chale
Kaun un se nigahein lara kar chale Kis ki taqat jo aankhein mila kar chale
Woh haseen kya jo fitne utha kar chale Haan haseen tum ho fitne mita kar chale
Un ke koocha mein mangta sada kar chale Rehmat-e-Haq ho har dam dua kar chale
Qissa-e-gham sunaya suna kar chale Jaan-e-Isa dawa do dua kar chale
Rabb ke bandon ko Rabb se mila kar chale Jalwa-e-Haq woh hum ko dikha kar chale
Man ra'ani ra'al Haqq suna kar chale Mera jalwa hai Haqq ka jata kar chale
Juz bashar aur kya dekhein kheera nazar Ayyukum mithli go woh suna kar chale
Jagmaga dalein galiyan jidhar aaye woh Jab chale woh to kooche basa kar chale
Kaisa tareek duniya ko chamka diya Saare aalam mein kaisi ziya kar chale
Koi maane na maane yeh woh jaan le Seedha rasta woh sab ko bata kar chale
Koriyon korhiyon ke liye korh door Achha changa woh khasa bhala kar chale
Yaad-e-daman se murjhayi kaliyan khilin Faiz se apne ghunche khila kar chale
Shab ko shabnam ki manind roya kiye Soorat-e-gul woh hum ko hansa kar chale
Bad se bad ko liya jis ne aaghosh mein Kab kisi se woh daaman bacha kar chale
Jo kameene thay un ko mu'azzaz kiya Woh razeelon ko seene laga kar chale
Sab ko Islam ka tum ne bakhsha sharaf Girte parton ko pyaare utha kar chale
Een-o-aan aur chuneen-o-chunan sarwara Tere dar se sab apna bhala kar chale
Jis ka saani hua aur na hai aur na ho Woh ata kar chale woh sakha kar chale
Umar bhar a'da un ko sataya kiye Aur woh dushmanon ko dua kar chale
Sakht a'da ko bhi afw farma diya Rehmat-e-Haq ki shanein dikha kar chale
Jism-e-purnoor ka yun to saya na tha Aur patthar mein naqshe jama kar chale
Marte dam sar dar-e-paak par rakh diya Is ada se qaza hum ada kar chale
Jab qamar ik ishare se tukre kiya Bole kaafir woh jaadu sa kiya kar chale
Mo'jizon ko woh jaadu batate rahe Aap apne pe zaalim jafa kar chale
Jin ke dawe thay hum hi hain ahl-e-zaban Sun ke Quran zabanen daba kar chale
Kaye sahabi thay par thi yeh haibat-e-Haq Gardanein saare kaafir jhuka kar chale
Aur gardan-kashi ki to maare gaye Sab ne jaana ke zaalim khata kar chale
Jin ko apna nahin gham hamare liye Dore jhapte woh paon utha kar chale
Abhi mizan par thay abhi pul pe hain Pul mein girte bachaye bacha kar chale
Sar-e-Kausar suna shor pyason ka jab Pahunche sharbat pilaya pila kar chale
Kisi janib se aaein nidayein Huzoor Mujrimon ki rihayi ka kya kar chale
Dam mein pahunche woh hukm-e-rihayi diya Un ko dozakh se phera phira kar chale
Daagh-e-dil hum ne Noori dikha hi diya Dard-e-dil ka fasana suna kar chale





