Bahar-e-jaanfiza tum ho Naseem-e-dastaan tum ho Bahar-e-bagh-e-rizwan tum se hai zeb-e-jinan tum ho
Habib-e-Rabb-e-Rahman tum makin-e-lamakan tum ho Sar-e-har do jahan tum ho shah-e-shahansahan tum ho
Haqeeqat aap ki mastoor hai yun to nihan tum ho Numayan zarre zarre se hain jalwe yun ayan tum ho
Haqeeqat se tumhari juz Khuda aur kaun waqif hai Kahe to kya kahe koi chuneen tum ho chunan tum ho
Khuda ki saltanat ka do jahan mein kaun dulha hai Tum hi tum ho tum hi tum ho yahan tum ho wahan tum ho
Tumhara noor hi sari hai in sari baharon mein Baharon mein nihan tum ho baharon se ayan tum ho
Zameen-o-aasman ki sab baharein aap ka sadqa Bahar-e-be-khizan tum ho bahar-e-jawidan tum ho
Tumhare husn-o-rang-o-bu ki gul-boote hikayat hain Bahar-e-gulistan tum ho bahar-e-bostan tum ho
Tumhari tabish-e-rukh hi se roshan zarra zarra hai Mah-o-khursheed-o-anjum barq mein jalwa-kunan tum ho
Nazar arif ko har aalam mein aaya aap ka aalam Na hote tum to kya hota bahar-e-har jahan tum ho
Tumhare jalwa-e-rangeen hi ki sari baharein hain Baharon se ayan tum ho baharon mein nihan tum ho
Mujassam rahmat-e-Haq ho ke apna gham na andesha Magar hum se siyah-karon ki khatir yun rawan tum ho
Kaja hum khak-uftada kaja tum ae shah-e-bala Agar misl-e-zameen hum hain to misl-e-aasman tum ho
Yeh kya main ne kaha misl-e-sama tum ho ma'adhAllah Munazza misl se bartar zi-har wahm-o-guman tum ho
Main bhoola aap ki rif'at se nisbat hi hamein kya hai Woh kehne bhar ki nisbat thi kahan hum hain kahan tum ho
Che nisbat khak ra ba aalam-e-pakat ke ae Maula Gada-e-be-nawa hum hain shah-e-arsh-aastan tum ho
Main bekas hoon main bebas hoon magar kis ka tumhara hoon Teh-e-daman mujhe le lo panah-e-bekasan tum ho
Haqeeqat mein na bekas hoon na bebas hoon na na-taqat Main sadqe jaaun mujh kamzor ke tab-o-tawan tum ho
Hamein umeed hai roz-e-qayamat un ki rahmat se Ke farmayein idhar aao na mayoos az-jinan tum ho
Sitam-garo khata-karo siyah-karo jafa-karo Hamare daman-e-rahmat mein aajao kahan tum ho
Sitam-garo chale aao chale aao chale aao Hamare ho hamare ho agarche az-badan tum ho
Tumhare hote saate dard dukh kis se kahun pyare Shafi-e-asiyan tum ho wakeel-e-mujrimaon tum ho
Masih-e-pak ke qurbaan magar jaan-e-dil-o-eeman Hamare dard ke darman tabib-e-ins-o-jaan tum ho
Dikhaye lakh aankhein mehr-e-mahshar kuch nahi parwa Khuda rakhe tumhein tum ho mere amn-o-aman tum ho
Riyazat ke yahi din hain burhape mein kahan himmat Jo kuch karna ho ab karlo abhi Noori jawan tum ho
Faqat nisbat ka jaisa hoon haqeeqi Noori ho jaaun Mujhe jo dekhe keh uthe mian Noori mian tum ho
Sana manzoor hai un ki nahi yeh mudda'a Noori Sukhan-sanj-o-sukhanwar ho sukhan ke nukta-dan tum ho





