Habib-e-Khuda ka nazara karoon main Dil-o-jaan un par nisara karoon main
Teri kafsh-e-pa yun sanwara karoon main Ke palkon se us ko bahara karoon main
Teri rehmatein aam hain phir bhi pyare Yeh sadmat-e-furqat sahara karoon main
Mujhe apni rehmat se tu apna karle Siwa tere sab se kinara karoon main
Main kyun ghair ki thokarein khaane jaaun Tere dar se apna guzara karoon main
Salasil masaib ke abru se kaato Kahan tak masaib gawara karoon main
Khudara ab aao ke dam hai labon par Dam-e-wapsein to nazara karoon main
Tere naam par sar ko qurban karke Tere sar se sadqa utara karoon main
Yeh ik jaan kya hai agar hon karoron Tere naam par sab ko wara karoon main
Mujhe haath aaye agar taj-e-shahi Teri kafsh-e-pa par nisara karoon main
Tera zikr lab par Khuda dil ke andar Yunhi zindagani guzara karoon main
Dam-e-wapsein tak tere geet gaaun Muhammad Muhammad pukara karoon main
Tere dar ke hote kahan jaaun pyare Kahan apna daaman pasara karoon main
Mera deen-o-imaan farishte jo poochein Tumhari hi jaanib ishara karoon main
Khuda aisi quwwat de mere qalam mein Ke bad-mazhabon ko sudhara karoon main
Jo ho qalb sona to yeh hai suhaga Teri yaad se dil nikhara karoon main
Khuda ek par ho to ik par Muhammad Agar qalb apna do para karoon main
Khuda khair se laye woh din bhi Noori Madine ki galiyan bahara karoon main
Saba hi se Noori salaam apna keh de Siwa is ke kya aur chara karoon main





