Teri aamad hai maut aayi hai Jaan-e-Isa teri duhai hai
Kyun watan apna chhod aayi hai Kyun safar ki bala uthayi hai
Saikron aafton mein phansne ko Kyun badan mein yeh jaan aayi hai
Un ke jalwe hain meri aankhon mein Achhi saa'at se maut aayi hai
Tum ko dekha toh dam mein dam aaya Aap aaye ke jaan aayi hai
Mar raha tha tum aaye jee utha Maut kya aayi jaan aayi hai
Ab toh aao ke dam labon par hai Chehre par murdani bhi chhayi hai
Aaiye waqt hai yeh aane ka Dekh lein sab ki jaan phir aayi hai
Zindagi main ne payi mar mar ke Main ne jee jee ke maut payi hai
Zindagi kya thi jis mein maut aayi Zindagi ba'd-e-marg payi hai
Maut ka ab nahi zara khatka Zindagi shubh ghadi se payi hai
Marte hi zindagi mili mujh ko Maut ke saath jaan aayi hai
Hasrat-e-deed-e-yaar mein hum ne Aaj mar mar ke maut payi hai
Jo haseen dekha mar mita us par Main ne mar ke hayat payi hai
Chain ki neend aaj soya hoon Maut aaram ki silayi hai
Shaamaton ne tumhari ghera hai Maut tum ko yahan pe layi hai
Zabh kar dala toh ne o zalim Nafs toh toh nira qassai hai
Ta'at-e-Haq ka naam sunte hi Tujh ko kambakht maut aayi hai
Ma'siyat zehr hai magar oundhe Toh ne samjha use mithai hai
Kya bigada tha tera kyun bigda Zehr ki pyali kyun pilayi hai
Achhe jo kaam karne hain kar lo Jaan apni nahi parayi hai
Noori har giz nahi hai toh naari Maut-e-Islam toh ne payi hai
Wah kya baat aap ki Noori Kya hi achhi ghazal sunayi hai





