Hasrata wa hasrata Shah-e-Madinah alwida Phat raha hai aap ke gham mein yeh seena alwida
Khoob aata tha suroor Aaqa Madine mein mujhe Chhoot-ta hai haye ab meetha Madinah alwida
Teri galiyon se bichhar kar bhi hai koi zindagi Door reh kar haye marna haye jeena alwida
Aankh roti hai tarapta hai dil-e-ghamgeen ab Lut raha hai haye qurbat ka khazeena alwida
Dil mira gham-naak furqat se kaleja chaak chaak Phat raha hai tere gham mein haye! seena alwida
Main shikasta dil liye bojhal qadam rakhta hua Chal para hoon ya Shahanshah-e-Madinah alwida
Khoon rota hai dil-e-maghmoom hijr-e-Shah mein Chaak hai mera kaleja chaak seena alwida
Qafila chalne ko hai sab ro rahe hain zaar zaar Toot-ta hai haye! dil ka aabgeena alwida
Jaane kab phir aayega meetha Madinah dekhne Kab safar paayega badkaar o kameena alwida
Naam sunte hi Madine ka main Aaqa ro paroon Kaash! aajaye mujhe aisa qareena alwida
Aap ki yaadon ke sadqe woh mile sanjeedgi Main na phir beja hanson Shah-e-Madinah alwida
Maal ka talib nahi de do faqat soz-e-Bilal Ho ata apne gada ko yeh khazeena alwida
Apni ulfat ki sharab aisi pila aaye na hosh Mujh ko hargiz ae Shahanshah-e-Madinah alwida
Kaash! main jaaun jidhar dekhun Madine ki bahaar Ho ata Aaqa mujhe woh chashm-e-beena alwida
Go bura hoon, be-amal hoon par nahi hoon be-adab Aap ka hoon, aap ka, go hoon kameena, alwida
Al-firaqu aah al-firaq ae pyare Aaqa al-firaq Phir bulalo jald Aaqa-e-Madinah alwida
Ya RasoolAllah! ab le lo salam-e-aakhiri Chalne wala hai Karachi ko safeena alwida
Aah! ab Attar jaata hai Madine se watan Haye majboori! sukoon-e-qalb cheena alwida





