Shah-e-Konain, Khair-ul-Amam Mere aaqa mere mohtaram Aap ki rehmaton ki qasam Aap ka hai karam hi karam
Aap dibacha-e-dojahan Dastaan, surkhi-e-dastaan Aap hi ronaq-afroz hain Abd-o-mabood ke darmiyan
Aap ki tarbiyat ne kiya Haq ke aage jabeenon ko kham Aap ka hai karam hi karam
Kitna pyara hai naam aap ka Kitna ooncha maqam aap ka Aadamiyat, mureed aap ki Aur tamaddun ghulam aap ka
Lamhay lamhay ke hathon mein hain Aap ki azmaton ke alam Aap ka hai karam hi karam
Aap tashreef jab laaye thay Adl, chahat, adab laaye thay Aap ki chaap thi arsh par Khak par noor-e-Rabb laaye thay
Jahl ko rehnuma kar diya But kaday ko banaya haram Aap ka hai karam hi karam
Jab se yeh aap ki ho gayi Zindagi, zindagi ho gayi Dil se aane lagein khushbu-ein Zehan mein roshni ho gayi
Meri aankhon mein aarasta Aap hi ke nishan-e-qadam Aap ka hai karam hi karam
Zikr jab aaye hai aap ka Dard tarpaye hai aap ka Daagh hi daagh us dil pe hain Woh jo kehlaye hai aap ka
Apne shayar Muzaffar ka bhi Aap rakhte hain kitna bharam Aap ka hai karam hi karam





