Shaad hai Firdous ya'ni ek din Qismat-e-khuddam ho hi jaayega
Lutf un ka aam ho hi jaayega Shaad har nakaam ho hi jaayega
Jaan de do wa'da-e-deedar par Naqd apna daam ho hi jaayega
Yaad reh jaayengi yeh bebakiyan Nafs tu to raam ho hi jaayega
Be-nishanon ka nishan mitta nahin mitte mitte naam ho hi jaayega
Yaad-e-gesu zikr-e-Haq hai aah kar Dil mein paida laam ho hi jaayega
Ek din aawaz badlenge yeh saaz Chahchaha kohram ho hi jaayega
Sailo! daaman sakhi ka thaam lo Kuch na kuch inaam ho hi jaayega
Yaad-e-abru kar ke tadpo bulbul-o! Tukre tukre daam ho hi jaayega
Mufliso! un ki gali mein ja paro Baagh-e-khuld ikraam ho hi jaayega
Gar yunhi rehmat ki taweelen rahin Madh har ilzaam ho hi jaayega
Baada-khwari ka samaan bandhne to do Sheikh durd-aasham ho hi jaayega
Gham to un ko bhool kar lipta hai yun Jaise apna kaam ho hi jaayega
Mit! ke gar yunhi raha qarz-e-hayat Jaan ka neelaam ho hi jaayega
Aaqilo! un ki nazar seedhi rahe Bauron ka bhi kaam ho hi jaayega
Ab to laayi hai shafa'at afw par Barhte barhte aam ho hi jaayega
Ae Raza! har kaam ka ik waqt hai Dil ko bhi aaram ho hi jaayega





