Sairab-e-tajalli mein mere tarse hue nain, ay Sayyid-e-Konain Ek baar utha dijiye yeh parda-e-mabein, ay Sayyid-e-Konain
Maqsood-e-talab jaan-e-dua, musleh-e-batin har saans ke mohsin Surkhab-e-tawan, khunki-e-jaan, roshni-e-ain ay Sayyid-e-Konain
Hain aapki tareekh-e-risalat ke nawshte, jin hon ke farishtay Ek aap ki aawaz-e-qadam zevar har zain ay Sayyid-e-Konain
Dharti ho ke aflak sabhi aap ka Aaqa ﷺ maftooha ilaqa Jughrafiya ghar aap ka, darwaza hain qutbain ay Sayyid-e-Konain
Kar aaye sar-e-arsh bhi deedar-e-Ilahi, aap ﷺ us ki gawahi La-raib ke tanha bhi hain majmua-e-noorain ay Sayyid-e-Konain
Chamke meri qismat meri manzil mera jada, heeron se zyada Choome jo musalsal mera sar aap ke na'lain ay Sayyid-e-Konain
Utne hi fida hain dil-o-jaan tum pe hamare jitne tumhein pyare Charon khulafa, ahl-e-haram, dukhtar-o-Hasnain ay Sayyid-e-Konain
Har waqt duroodon ka Muzaffar hua aadi, kuch aisi hawa di Jab tak na ho yeh rabta, aata hi nahin chain ay Sayyid-e-Konain





