Sarwar-e-Deen ki gadaai wah wah Shahr-e-Taibah tak rasaai wah wah
Allah Allah khush naseebi ka urooj Raat din midhat sarai wah wah
Sarwar-e-Kounain ke aazaaz mein Dast-e-basta hai khudaai wah wah
Roshni mein dhal gayi hain zulmaten Aye zahoor-e-Mustafai! wah wah
Ahl-e-mahshar dekh kar hairan hain Hum ghulamon ki rahaai wah wah
Lab pe aana tha durood-e-paak ka Ho gayi dil ki safaai wah wah
Peer-e-kaamil ki khudaya khair ho Mai hamein aisi pilaai wah wah
Tarjuma Shahzad Ashkon ne kiya Naat aankhon ne sunaai wah wah