Sarkar phir Madine mein Attar aagaya Phir aap ka gada Shah-e-Abrar aagaya
Tum bakhshwa do har khata sadqa Hussain ka Umeed-e-maghfirat pe gunahgar aagaya
Raazi hamesha ke liye ho jaiye Shaha! Yeh daimi raza ka talabgar aagaya
Hoti hain raat din yahan rehmat ki barishen Bakhsha gaya jo Taiba mein badkar aagaya
Daulat ki taaj o takht ki aaqa nahi talab Tum se faqat tumhara talabgar aagaya
Is ki balayen tal gayin gham door hogaye Jo koi dar pe be-kas o lachar aagaya
Aaqa gham-e-Madinah mein be-haal kijiye Har koi dekh kar kahe bimar aagaya
Dil be-qarar do mujhe aankh ashkbar do Yeh bheek lene dar pe main Sarkar aagaya
Soz-e-jigar ata karo seena figar do Yeh bheek lene dar pe main Sarkar aagaya
Ae kaash! yaad mein teri rona naseeb ho Yeh bheek lene dar pe main Sarkar aagaya
Marz-e-gunah se mujhe de dijiye shifa Yeh bheek lene dar pe main Sarkar aagaya
Mujh ko Baqi-e-Paak mein do gaz zameen do Yeh bheek lene dar pe main Sarkar aagaya
Hai zair-e-Madinah shafaat ka mustahiq Yeh bheek lene dar pe main Sarkar aagaya
Aasi pe kijiye karam ae Shafe-e-Umam Attar maghfirat ka talabgar aagaya





