Saare nabiyon ka sarwar Madine mein hai Sab rasoolon ka afsar Madine mein hai
Lutf-e-jannat se barh kar Madine mein hai Meethe mehboob ka ghar Madine mein hai
Kya hawa bhi mu’attar Madine mein hai Sab faza bhi munawwar Madine mein hai
Kar ke hijrat yahan aagaye Mustafa ﷺ Roshni aaj ghar ghar Madine mein hai
Jaante ho Madinah hai kyon dil-pasand Donon aalam ka sarwar Madine mein hai
Saare deewane betab hain is liye Shah ki qabr-e-anwar Madine mein hai
Noor ki dekho barsaat hai chaar su Kya samaan kaif aawar Madine mein hai
Hajro furqat ke beemar ko le chalo Rahat-e-jaan-e-muztar Madine mein hai
Door reh kar hai veeran si zindagi Maut bhi kaif aawar Madine mein hai
Hai Madine ka rutba bara khuld se Kyon ke mehboob-e-dawar Madine mein hai
Maaldaro! na itraao tum maal par Un ka mangta tawangar Madine mein hai
Apni manzil ko paalo ge aajao tum Bhoole bhatkon ka rahbar Madine mein hai
Bhool jaoge Paris ki sab raunaqein Woh samaan rooh-parwar Madine mein hai
Dushmanon! mat akela samajhna mujhe Mera haami o yawar Madine mein hai
Aao isyaan-shi’aro nahaalo yahan Rehmaton ka samundar Madine mein hai
Hashr mein jaam-e-Kausar ki hai gar talab Aao Saqi-e-Kausar Madine mein hai
Aao aao gunahgaro aa jao tum Shafi’-e-roz-e-mehshar Madine mein hai
Aye shafa’at ke ummeedwaro! chalo Shafi’-e-roz-e-mehshar Madine mein hai
Tum shafa’at mein shak mat karo zairo Shafi’-e-roz-e-mehshar Madine mein hai
Chal Madinah wuhi ho sake jis ka dil Ghar mein reh kar bhi aksar Madine mein hai
Chal Madinah ke deewano! muzdah suno Jald har ba-muqaddar Madine mein hai
Sabz gumbad ka Attar manzar to dekh Kis qadr kaif aawar Madine mein hai





