Sar par ghulami ki dastaar baandhoon, tan par Muhammad ﷺ ke rang pehnoon Dast-e-talab ke rakhoon band dheelay, pairon mein zanjeer-e-tang pehnoon
Shaffaf aisi tabiyat hai apni, maila badan bhi gawara nahin Kapray to kapray hain main rooh par bhi nikhra hua ang ang pehnoon
Ghat-tay huay faaslon ki madad se, barhta rahay mera shauq-e-safar Pehnaayen jab un ke rastay ke jhonkay, khush ho ke ehram-e-sang pehnoon
Sab se bara nafs dushman hai mera, sar-kobi-e-nafs ke wastay Tanhaiyon mein bhi aksar main Aaqa ﷺ poshak-e-maidan-e-jang pehnoon
Bahar nikal aayay andar ka chehra, to aaina mujh pe hansnay lagay Kar do meray deedah-e-dil bhi saiqal, kab tak gunahon ka zang pehnoon
Hasrat se la'al-o-gohar mujh ko dekhein, ra'anaiyan rashk mujh par karein Taqway mein sabr-o-qana'at piro kar, main Mustafa ﷺ ka malang pehnoon
Maaray hain kitnay malammat ke pathar, phir bhi na Aaqa ﷺ ke laiq hua Kya tootay phootay badan par Muzaffar, ab jamah-e-naam-o-nang pehnoon





