Sar mera Aap ﷺ ki dehleez se jab lagta hai Saans lena bhi mujhe su-e-adab lagta hai
Baat karte hue dekha hai Nabi ﷺ ko main ne Har sukhan tarjuma-e-aaya-e-Rab lagta hai
Sulb-e-Adam se bhi pehle tha Muhammad ﷺ ka wajood Noor-e-khallaq-e-jahan un ka nasab lagta hai
Mere Aaqa ﷺ ki huzoori mein kashish hai kitni Sar se pairon talak insaan talab lagta hai
Dekhta hoon unhein har saans pe aate jaate Hujra-e-rooh bhi sahra-e-Arab lagta hai
Dar-o-deewar-e-haram bhi parha karte hain durood Chup ka andaaz bhi pairaya-e-lab lagta hai
Koi beemari-e-baatin nahi rehne paati Aap ﷺ ka dhyan bhi zehnon ka matab lagta hai
Kitne din reh ke Madine mein Muzaffar dekha Gali koochon ka nazara bhi ghazab lagta hai





