Sar-e-kham haath mera utha hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Fazl ki reham ki iltija hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Qalb mein yaad lab par sana hai Mere har dard ki yeh dawa hai
Kaun dukhiyon ka tere siwa hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Qalb sakhti mein had se barha hai Bandah talib tere khauf ka hai
Iltija-e-gham-e-Mustafa ﷺ hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Hubb-e-duniya mein dil phans gaya hai Nafs-e-badkar hawi hua hai
Haaye shaitan bhi peeche para hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Aah! bandah dukhon mein ghira hai Is ko tera hi bas aasra hai
Iltija-e-karam ya-Khuda hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Tera inaam hai ya-Ilahi Kaisa ikram hai ya-Ilahi
Haath mein daman-e-Mustafa ﷺ hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Ishq de soz de chashm-e-nam de Mujh ko meethe Madine ka gham de
Wasta Gumbad-e-Sabz ka hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Har gunah se bacha mujh ko Maula Nek khisalat bana mujh ko Maula
Tujh ko Ramzan ka wasta hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Fazl kar reham kar tu ata kar Aur muaf aye Khuda har khata kar
Wasta Panjetan-e-Pak ka hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Afw-o-rehmat ka bakhshish ka sail Hoon nihayat gunahgar-o-ghafil
Mera sab haal tujh par khula hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Hoon bazahir bada nek surat Kar bhi de mujh ko ab nek seerat
Zahir achha hai batin bura hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Be-sabab aye Khuda karde bakhshish Hashr mein mujh se karna na pursish
Naam Ghaffar Maula tera hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Mujh khatakar par bhi ata kar Be-sabab bakhsh de Rabb-e-Akbar
Mujh ko dozakh se dar lag raha hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Naz'a mein Rabb-e-Ghaffar tujh se Maut se qabl bimar tujh se
Talib-e-jalwa-e-Mustafa ﷺ hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Qabr mein mujh ko tanha lita kar Chaldiye haaye saare baradar
Dil andhere mein ghabra raha hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Maghfirat ka hoon tujh se sawali Pheirna apne dar se na khaali
Mujh gunahgar ki iltija hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Mere Murshid jo Ghous-ul-Wara hain Shah Ahmed Raza rehnuma hain
Yeh tera lutf teri ata hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Nar-e-dozakh se mujh ko aman de Maghfirat karke bagh-e-jinan de
Kar de rehmat meri iltija hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Wasta tujh ko pyare Nabi ka Aur ashab-o-aal-e-Nabi ka
Bakhsh de mujh ko yeh iltija hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Ya-Khuda mah-e-Ramzan ke sadqe Sachchi tauba ki taufiq de de
Nek ban jaun ji chahta hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Dard-e-isyan mita ya-Ilahi De de kamil shifa ya-Ilahi
Tujh se bimar ki iltija hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Jo hain bimar sehat ke talib Un pe farma karam Rabb-e-Ghalib
Tujh se reham-o-karam ki dua hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Main ne mana ke sab se bura hoon Kis ka hoon? Tera hoon main tera hoon
Naaz rehmat pe mujh ko bada hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Aib duniya mein tu ne chupaye Hashr mein bhi na ab aanch aaye
Aah! namah mera khul raha hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Umr badiyon mein saari guzari Haaye! phir bhi nahi sharmsari
Bakhsh Mehboob ka wasta hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Wird-e-lab Kalima-e-Tayyibah ho Aur imaan par khatimah ho
Aa gaya haaye! waqt-e-qaza hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Ya-Khuda aise asbab paun Kash Makkah Madine mein jaun
Mujh ko arman Hajj ka bada hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Aah! ranj-o-alam ne hai mara Ya-Ilahi mujhe de sahara
Ek ghamgeen dil ki sada hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Meri jaan aafton se chudana Muzi amraz se bhi bachana
Tujh ko Siddiq ka wasta hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Tu ata hilm ki bheek kar de Mere akhlaq bhi theek kar de
Tujh ko Farooq ka wasta hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Go yeh bandah nikamma hai bekar Is se le fazl se Rabb-e-Ghaffar
Kaam woh jis mein teri raza hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Tere pyare ki dukhiyari ummat Par hai sailab ki aayi aafat
Reham kar bas tera aasra hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Har taraf se balaon ne ghera Aafton ne lagaya hai dera
Tu hi ab mera hajat-rawa hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Us ki jholi muradon se bhar de Us ke haq mein jo behtar ho kar de
Jis ne mujh se dua ka kaha hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Ishq-e-Ahmed mein aansu bahaun Hubb-e-duniya se khud ko bachaun
Aisi taufiq de iltija hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Meri dushman se farma hifazat Deen-o-imaan bhi rakhna salamat
Dast-bastah meri iltija hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Meharban tu hi, tu hi madadgar Us dukhi dil ka tu hami-e-kar
Jis ko duniya ne thukra diya hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Sakht-goi ki mit jaye khisalat Narm-goi ki pad jaye aadat
Wasta khulq-e-Mahboob ka hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Sunnaton ki karoon khoob khidmat Har kisi ko doon neki ki dawat
Nek main bhi banoon iltija hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Qafilon mein safar ki ho kasrat Hum se yun deen ki le le khidmat
Aajizana Ilahi dua hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Meri bak-bak ki aadat mita de Aur aankhein haya se jhuka de
Sadqa Usman ka jo ba-haya hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai
Ya-Ilahi kar aisi inayat De de imaan par istiqamat
Tujh se Attar ki iltija hai Ya-Khuda tujhse meri dua hai





