Sahib-e-jood-o-al-karam salle ala Muhammadin ؐ Hakim-o-hukm-al-hukam salle ala Muhammadin ؐ
Jis ka ho tujh se wasta us ko dikhayen rasta Tere safar ke pech-o-kham salle ala Muhammadin ؐ
Shams-o-qamar ki lau hai tu waqt ka pesh-rau hai tu Wali-e-taj-o-al-alam salle ala Muhammadin ؐ
Us ki rasai-e-nazar hogi buland kis qadar Arsh pe jis ke hon qadam salle ala Muhammadin ؐ





