Sahara de diya bar-waqt un ki ghamgusari ne Mujhe to maar dala tha meri isiyan-shi'ari ne
Zaroorat hai mujhe Sarkar phir taskeen-o-rahat ki Banaya qaryah-e-jaan mein thikana be-qarari ne
Kabhi mumkin nahi tha nakhwat-o-zulm-o-tashaddud se Kiya jo kaam Sultan-e-Haram ki inkisari ne
Mujhe ae'zaz de woh kaash apni mezbani ka Sharaf bakhsha Abu Ayyub ko jis ki sawari ne
Sahaba hon Rasool Allah ke ya Awliya Allah Nawazay hain unhein yeh martabey khidmat-guzari ne
Khuda ke noor ki kirnein isi ke sahan mein chamkein Agarcha raasta roka bohat Abu Jahal nari ne
Asar hai saaray aalam mein hawaye shahr-e-Tayyaba ka Chaman ko rang bakhshay hain isi baad-e-bahari ne
Hujoom-e-ranj ho Shehzad ya majma' musa'ib ka Mujhe tanha nahi chora kabhi Mehboob-e-Bari ne