Sadaf-e-noor-e-Ilahi ka guhar kya hoga Sirf khaliq jo nahi tha woh bashar kya hoga
Us ki kirno se har ik aankh lipatti hogi Matla-e-jism ka andaaz-e-sahar kya hoga
Manzilein baantne aaya tha jo gumrahon ko Us jahan saaz ki hijrat ka safar kya hoga
Liye phirta hoon Muhammad ﷺ sa haseen aankhon mein Zara socho toh mira husn-e-nazar kya hoga
Jism-e-athar ko chhooye khaak-e-zameen, na mumkin Arsh-e-saani ke siwa zer-e-kamar kya hoga
Aane walon pe jo qismat ki tarah khulta ho Haram-e-paak-e-Muhammad ﷺ ka woh dar kya hoga
Kaun kar sakta hai dushman ko maaf us ki tarah Aur koi us ki tarah seena sipar kya hoga
Naat se log parakhte hain Muzaffar mujh ko Is se barh kar mira mayaar-e-hunar kya hoga





