Saba yeh kaisi chali aaj dasht-e-Batha se Umang-e-shauq ki uthti hai qalb-e-murda se
Na baat mujh se gul-e-khuld ki kar aye zahid Ke mera dil hai nigaar-e-khaar-e-Taibah se
Yeh baat mujh se mere dil ki keh gaya zahid Bahaar-e-khuld-e-bareen hai bahaar-e-Taibah se
Yeh kis ke dam se mili jahaan ko taabani Mah-o-nujoom hain roshan manaar-e-Taibah se
Fadaiyon ko yeh zid kya ke parda uth jaaye Hazaar jalwe numayaan hijaab-e-Aaqa se
Jo hain mareez-e-mohabbat yahaan chale aayen Sada yeh aati hai sun lo mazaar-e-Maula se
Kinara ho gaya paida isi jagah foran Kabhi jo hum ne pukara miyaan-e-darya se
Na Faiz is mohabbat mein tu ne kuch paaya Kinara kyun nahi karta tu ahl-e-duniya se
Pas-e-mumaat na badnaam ho tera Akhtarؔ Ilahi is ko bacha lena ta'an-e-a'ada se





