Sab zamaanon se afzal zamana tera Tu mukammal mukammal zamana tera
Kis qadar zang-aalood thi zindagi Kar gaya kitna saiqal zamana tera
Dekhta kya koi teri parchhaiyan Le ke chalte thay baadal zamana tera
Lamhe lamhe ki mutthi mein jugnu tere Har zamane ki mash'al zamana tera
Tez ghore pe baithe hue waqt se Kitna aage hai paidal zamana tera
Aadmi ko khatakne laga aadmi Ho gaya jab se ojhal zamana tera
Harf-e-awwal bhi tu harf-e-aakhir bhi tu Dekhta hoon musalsal zamana tera
Regzaron mein aabad makhlooq ko Karne aaya tha jal-thal zamana tera
Har andhere ka zevar teri roshni Phool tera sukhan phal zamana tera
Ek Muzaffar hi kya sab ko maloom hai Mushkilein zindagi, hal zamana tera





