Sab pukaro jhoom kar meetha Madinah marhaba Kar ke kham sab apna sar meetha Madinah marhaba
Dooba rehta hai Madinah roshni mein har ghari Shaam ho ya ho sahar meetha Madinah marhaba
Noor barsate manare sabz gumbad ki bahar Dil ho roshan dekh kar meetha Madinah marhaba
Jaante ho sabz gumbad kyun haseen hai is qadar Is mein hai Aaqa ka ghar meetha Madinah marhaba
Phool mehke, dhool chamke, khoobsurat har babool Pur-kashish har ik hajar meetha Madinah marhaba
Pau phati tadka hua aur cheh-chahayein bulbulein Hai samaan rangeen tar meetha Madinah marhaba
Jabke chalti hai saba Aaqa ka roza choom kar Jhoom uthte hain shajar meetha Madinah marhaba
Barq chamki, lehar ubhri, abr barsa aur gaya Gumbad-e-Khizra nikhar meetha Madinah marhaba
Azmatein hain rif'atein hain ne'matein hain barkatein Rehmatein hain har dagar meetha Madinah marhaba
Phool to phir phool hain kaante bhi iske husn mein Khoob se hain khoob tar meetha Madinah marhaba
Sang-rezon ki chamak ke saamne sab hech hain Duniyavi la'l-o-gohar meetha Madinah marhaba
Hain fazayein khush-gawar is ki hawayein mushk-baar Hai mu'attar kis qadar meetha Madinah marhaba
Is liye to hum ko pyara hai Madinah rehte hain Is mein Shah-e-Bahr-o-Bar meetha Madinah marhaba
Khuld ki rangeiniyan shadabiyan tasleem hain Yeh sab apni ja magar meetha Madinah marhaba
Noor ki barse phuwar is mein rahe hardam bahar Khoobsurat hai nagar meetha Madinah marhaba
Husn-e-Paris ka fidai bhi yahan par jhoom uthe Sabz gumbad dekh kar meetha Madinah marhaba
Bakriyan to bakriyan, chidiyan bhi is ki mohtaram Aur kabootar bakhtawar meetha Madinah marhaba
Hijr-e-Taibah mein jo rote hain Khudaya ho naseeb Un ko Taibah ka safar meetha Madinah marhaba
Ya RasoolAllah kehte hi talengi mushkilein Gham-zado aao idhar meetha Madinah marhaba
Raat roshan din munawwar sab samaan par noor hai Dekh lo ahl-e-nazar meetha Madinah marhaba
Jhoom kar taare karein deedar-e-Taibah roz aur Hon fida shams-o-qamar meetha Madinah marhaba
Jo Madine aa gaya Attar aa kar mar gaya Woh bada hai bakhtawar meetha Madinah marhaba





