Sab kuch tere ishare par ho sakta hai Toofan zada, kinare par ho sakta hai
Chand utar sakta hai kutiyaon mein bhi Mitti ka haq taare par ho sakta hai
Chamanistan ban sakti hai jungle ki aag Khilta phool, sharare par ho sakta hai
Gir sakte hain toot ke dharti par aflak Zarra-e-khaak, minare par ho sakta hai
Jinn-o-malaik bhi hain yahan to insaan bhi Aur kisi sayyare par ho sakta hai
Tera raham amiron hi ke liye nahin Bebas par bechare par ho sakta hai
Barbadi mein ho sakti hain behtariyan Nafa-o-sood khasare par ho sakta hai





