Sa'adat ab Madine ki ata ho Karam chashm-e-karam Ya Mustafa ho
Madine ki baharein dekhne ki Ijazat marhamat ab to shaha ho
Woh lamhat-e-musarrat aayein phir se Mere pesh-e-nazar gumbad-e-hara ho
Sada dil ishq mein tarpa kare aur Yeh taar ashkon ka aankhon se bandha ho
Sunahri jaliyon ke rubaru kaash Mira jalwon mein un ke khatima ho
Mere Aqa! baraye peer-o-murshid Baqi-e-pak mein madfan ata ho
Jab Aqa qabr mein jalwa-numa hon To lab par marhaba Ya Mustafa ho
Mohabbat maal ki chut-ti nahin hai Karam! duniya se mera dil bura ho
Main aisa ashiq-e-sadiq banun kaash Hansi lab par rahe dil ro raha ho
Gunahon ke sabhi amraz hon door Ata mere tabib aisi dawa ho
Kaleje se lagate hain use bhi Jise har ek ne thukra diya ho
Padosi khuld mein apna bana lo Karam Aqa paye Ahmad Raza ho
Jagah jannat mein qadmon mein woh dena Jahan par murshidi Ahmad Raza ho
Meri qismat ki jitni gutthiyan hain Sulajh sakti hain Aqa tum jo chaho
Adu us ka bigare ga bhala kya Muhammad Mustafa ka jo gada ho
Inayat deen par ho istiqamat Meri maqbool Ya Rab yeh dua ho
Khudaya wasita meethe Nabi ka Sharaf Attar ko Hajj ka ata ho





