Rusul unhein ka toh muzdah sunane aaye hain Unhein ke aane ki khushiyan manane aaye hain
Farishte aaj jo dhoomein machane aaye hain Unhein ke aane ki shaadi rachane aaye hain
Falak ke hoor-o-malak geet gaane aaye hain Ke do jahaan mein yeh danke bajane aaye hain
Yeh seedha raasta haq ka batane aaye hain Yeh haq ke bando ko haq se milane aaye hain
Yeh bhoole bichhdon ko raste pe laane aaye hain Yeh bhoole bhatkon ko haadi banane aaye hain
Khuda-e-Paak ke jalwe dikhane aaye hain Dilon ko noor ke buq'e banane aaye hain
Yeh qaid-o-band-e-alam se chhudane aaye hain Lo muzdah ho ke rihayi dilane aaye hain
Chamak se apni jahaan jagmagane aaye hain Mehak se apni yeh kooche basane aaye hain
Naseem-e-faiz se ghunche khilane aaye hain Karam ki apni baharein dikhane aaye hain
Yehi toh sote huon ko jagane aaye hain Yehi toh rote huon ko hansane aaye hain
Yeh kufr-o-shirk ki neevein hilane aaye hain Yeh shirk-o-kufr ki tameerein dhane aaye hain
Hazaar saal ki roshan shuda bujhi aatish Yeh kufr-o-shirk ki aatish bujhane aaye hain
Sahar ko noor jo chamka toh shaam tak chamka Bata diya ke jahaan jagmagane aaye hain
Unhein Khuda ne kiya apne mulk ka maalik Unhein ke qabze mein Rab ke khazane aaye hain
Jo chahenge jise chahenge yeh use denge Kareem hain yeh khazane lutane aaye hain
Jo gir rahe the unhein naibon ne thaam liya Jo gir chuke hain yeh un ko uthane aaye hain
Maseeh-e-Paak ne ajzaam-e-murda zinda kiye Yeh jaan-e-jaan dil-o-jaan ko jalane aaye hain
Bulawa aap ka ab tak diya kiye naib Ab aap bando ko apne bulane aaye hain
Rauf aise hain aur yeh Raheem hain itne Ke girte parton ko seene lagane aaye hain
Sunoge la na zabaan-e-Kareem se Nooriؔ Yeh faiz-o-jood ke dariya bahane aaye hain





