Rukh se kaakal hata diya tu ne Sab ko be-khud bana diya tu ne
Shab ko milne ki de ke ik umeed Sab ko shab saari jaga diya tu ne
Rukh-e-zeba ki ik jhalak se Habib Raat ko din bana diya tu ne
Koi armaan ab nahi baaqi Khaak mein sab mila diya tu ne
Na rahi kuch khabar sar-o-pa ki Jaam aisa pila diya tu ne
Meri baaton pe log hanste hain Kya tamasha bana diya tu ne
Taqayamat kabhi na achha ho Rog aisa laga diya tu ne
Koi aawaz ab nahi bhaati Raag aisa suna diya tu ne
Apne chehre ke ik darshan mein Mujh ko kya kya dikha diya tu ne
Kuch nahi yaad ab to Arabi ko Yaad jo tha bhula diya tu ne





