Rukh din hai ya mehr-e-samaa yeh bhi nahin woh bhi nahin Shab zulf ya mushk-e khutaa yeh bhi nahin woh bhi nahin
Bulbul ne gul un ko kaha Qumri ne sar-o-janfaza Hairat ne jhunjhala kar kaha yeh bhi nahin woh bhi nahin
Khursheed tha kis zor par kya barh ke chamka tha Qamar Be-purdah jab woh rukh hua yeh bhi nahin woh bhi nahin
Dar tha ke asiyaan ki saza ab hogi ya Roz-e-Jazaa Di un ki rehmat ne sada yeh bhi nahin woh bhi nahin
Din lahoo mein khona tujhe Shab subah tak sona tujhe Sharm-e Nabi ﷺ khafif-e Khuda yeh bhi nahin woh bhi nahin
Rizq-e Khuda khaya kya farmaan-e Haq tala kya Shukr-e karam tars-e-saza yeh bhi nahin woh bhi nahin
Hai bulbul-e-rangeen Raza ya tooti-naghma-saraa Haq yeh ke Wasif hai tera yeh bhi nahin woh bhi nahin





