Rukh-e-din hai ya mehr-e-sama yeh bhi nahin woh bhi nahin Shab-e-zulf ya mushk-e-Khata yeh bhi nahin woh bhi nahin
Mumkin mein yeh qudrat kahan wajib mein abdiyat kahan Hairan hoon yeh bhi hai khata yeh bhi nahin woh bhi nahin
Haq yeh ke hain abd-e-Ilah aur alam-e-imkan ke shah Barzakh hain woh sirr-e-Khuda yeh bhi nahin woh bhi nahin
Bulbul ne gul un ko kaha qumri ne sarv-e-janfaza Hairat ne jhanjhla kar kaha yeh bhi nahin woh bhi nahin
Khursheed tha kis zor par kya barh ke chamka tha qamar Be-parda jab woh rukh hua yeh bhi nahin woh bhi nahin
Dar tha ke isyan ki saza ab hogi ya roz-e-jaza Di un ki rehmat ne sada yeh bhi nahin woh bhi nahin
Koi hai nazan zuhd par ya husn-e-tauba hai sipar Yan hai faqat teri ata yeh bhi nahin woh bhi nahin
Din lahw mein khona tujhe shab subh tak sona tujhe Sharm-e-Nabi khauf-e-Khuda yeh bhi nahin woh bhi nahin
Rizq-e-Khuda khaya kiya farman-e-Haq tala kiya Shukr-e-karam tars-e-saza yeh bhi nahin woh bhi nahin
Hai bulbul-e-rangeen Raza ya tooti-e-naghma-sara Haq yeh ke wasif hai tera yeh bhi nahin woh bhi nahin





