Rusiyaahon par karam ae do jahan ke tajdar Apne gham mein apni ulfat mein rulaao zaar zaar
Husn-e-gulshan mein sarasar hai fareb ae dosto Dekhna hai husn toh dekho Arab ke regzaar
Raah bhoola aah manzil se bhatak kar reh gaya Saath le lo ae Arab ke meherbaan naqa suwar
Hum ghareebon ko Madine mein bula lo ya Nabi Wasta Ahmed Raza ka do jahan ke tajdar
Gar muqaddar mein mere doori likhi hai ya Nabi Kaash! furqat mein teri rota rahoon main zaar zaar
Un ka deewana imama aur zulf o resh mein Waah! dekho toh sahi lagta hai kitna shandaar
Kaash! khidmat sunnaton ki main sada karta rahoon Ahl-e-Sunnat ka sada ban ke rahoon khidmat guzaar
Hain Ali mushkil kusha saya kunaan sar par mere La fata illa Ali la saif illa Dhulfiqar
Ya Shaheed-e-Karbala! ho door har ranj o bala Ab madad ko aao dasht-e-Karbala ke shehsuwar
Al-madad ya Ghaus-e-Azam dast-geer-e-be-kasaan Phans gayi hai naao toofan mein laga dein aap paar
Ya Moin-ud-Din! aao ab madad ke waaste Ho karam badhaal par ae Chishti-on ke tajdar
Ya Imam Ahmed Raza! sadqa Zia-ud-Din ka Ho karam ki ik nazar ae Sunni-on ke tajdar
Mustafa wali tere Attar dar kis baat ka Kaar gar hoga na tujh par dushmanon ka koi waar





