We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Roshni Se Hun AlagNot Verified

Muzaffar Warsi

Roshni se hoon alag saaye yeh manzoor nahin Zindagi un se bichhad jaaye yeh manzoor nahin



Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play


Kaat de sar koi mera, yeh gawara hai mujhe Un ke nakhun pe kharash aaye yeh manzoor nahin


Hum ghareebon ka duroodon pe guzara hai faqat Hum se chhin jaayein yeh sarmaye yeh manzoor nahin


Rehmatein aap ki sairab kiye rakhti hain Koi dariya hamain tarsaye yeh manzoor nahin


Nabz chalti hai to Aaqa ﷺ se ijazat le kar De hamain aur koi raye yeh manzoor nahin


Apni saanson se hamain bu-e-Muhammad ﷺ aaye Mukhtalif un se hon pairaye yeh manzoor nahin


Is jahan mein ho Muzaffar ke ho us duniya mein Un ka maddah na kehlaye yeh manzoor nahin

Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah