Rooh ne Allah se ishq-e-Paighambar le diya Aur Paighambar ﷺ ne mujhe Firdous mein ghar le diya
Kis qadar aaram milta hai Khuda ki yaad mein Phir na aayi neend use jis ko yeh bistar le diya
Pyaar ka parcham thama kar haath mein talwar di Bazdili neelam kar ke zirah baktar le diya
Aagahi, eeman, mohabbat, adl, taqwa, saadgi Zindagi ko kis qadar anmol zevar le diya
Khaak par jo baithta tha us jaleel-ul-qadr ne Kam-tari ko izzatein, pasti ko mimbar le diya
Pyaas Mehshar ki na jab bardasht mujh se ho saki Rehmaton ne Shafe-e-Mehshar se Kausar le diya
Dene wala us qayamat ka koi dekha nahi Main ne jo maanga nahi woh bhi Muzaffar le diya





