Rooh mein shabnam indeeli, pyaas ko darya diye Kaise kaise saaye mujh be-jism ko pehna diye
Aap ﷺ ko chhoote hi main patthar se sona ban gaya Dekhte hi Aap ﷺ ko aankhon ne par phaila diye
Ek naya darwaza, har darwaze mein khulta gaya Apni jaanib aane wale arsh par pahuncha diye
Aap ﷺ ki seerat ka har pehlu adalat-saaz tha Sach wahi hain faisle jo Aap ﷺ ne farma diye
Aap ﷺ ki aawaz mein har ek ki aawaz thi Aapki aamad ne saare ambiya dohra diye





